Mosiqi Ke Humsafar
Jud gayein jo aap.se – raahaton ke rehguzar,
Woh Mosiqi ke lafz hain – Jo mil gaye zameen par
Haasil huaa kya aapko ? Jo zaahir hua hai shauq se!
Ya hans rahein hain aap bhi, mere jhoothe.se iss khwaab par?
Aji! –
Shayaron ki shayari se tabdeel huye hain jazbaat bhi,
Mere lafzon ka, meri saaz ka – Woh asar na hoga aap.par!
Toh –
ta’alluq rakhiye gar mujhse – Toh rakhiye itna jaankar,
Ye Mosiqi ka nashaa hi hai – hum hain sanam, badey be.asar
Na mujhse poochiye k, “Kya laayi ho sanwaar kar?”
Be.baaq si meri uljhaney, Aaj bhi hai kuch be.sabar
Ye paagalpan, ye dard ka kissa – Ye qaayedein hain pyaar ke!
Ulfat mein woh hai jee gaya, jo muskuraya haar.kar
Be.fikri ka naqaab hai , jo pooche dil utaar.kar..
Ba.umr meri chaahaton mein, kya hoga aisa bhi asar?
Ki saansein ho ek dhun nayi, aur tum.. Mosiqi ke hum.safar !